Added: Apr 17, 2008
From: GhulamePanjatan
Duration: 9:19
[Writeup below - Click on more info] Aey Khuda Aey Khuda, Hay Yehi Arzoo. A great dua/nauha by Ali Safdar when he was in ISO. ___________________________ Ay Khuda Ay Khuda hai yehi aarzoo Mai Imaam-e-Zamaan (ATF) kaa sipaahi banuu Saare ansaar qurbaan ho baad mein, sabse pehle fidaa apni jaan mein karuun Ay Khuda... Misle Maisam jala kay chiragh-e-wafa Bhardoon apnay lahoo sey ayad-e-wafa Qafila Zuriyat ka Na bhatkay kabhi Misle Hurr choor jaoon chiragh-e-wafa Ay Khuda... Mairay Aqa Ki Janib jo uthee nazar Cheen loonga un ankhoon sey noor-e-basar Kaat doonga uss aadmi ki zabaan barh gaya koi had-e-adab sey agar Ay Khuda... Kash jab mein hoon masroof-e-Kaar-e-Ghira* Maujiza aisa dikhlaye maira Khuda Dekh kar mujhko alooda-e-Khaak-o-khoon Khud Imam-e-Zamaan(as) Keh uthein Marhaba Ay Khuda... Jab Alam lay kay maqtal ki janib barhoon Yeh rujuz shaan-e-Mola Ali mein parhoon* Ghum Nahi hay kay haq goi kay jurm mein Qatl karday zamana kay phaasi charhoon Ay Khuda... Ta ba Anjaam-e-Ghaybat jo mein na rahoon Ayy Khuda Haq-e-Nusrat ada Yu Karoon Jab Imam apnay lashkar ko tarteeb dein Mein bhi Turbat sey labaik kehta uthoon Ay Khuda... Daagh Hay Dil Pay Zahra ki Jageer ka Ghum Hay Aale Muhammad ki Tash-heer ka Kam sey Kam itni Mohlat Khuda Bakhsh Dey Badla Mein Lay Sakoon Khoon-e-Shabbir Ka Ay Khuda... Karbala Mein ajab zulm dhaye gaye Loota Hay sheh ko khaimay jalaye gaye Mujrimo ki tarhaa dar ba dar nangay sir AhleBayt-e-Muhammad Phirayee gayee Ay Khuda... Ashqiya zulm per zulm dhatay rahay Bay sabab taziyaanay lagatay rahay Khoon rotay rahay Ahlebayt-e-Nabi Log Jashn-e-Musarrat manatay rahay Ay Khuda... Baandh kar aik rassi mein bara galay Soo-e-darbar-e-shaam ashqiya lay chalay Koi aisa na tha jo yeh poochta Khatm Kab hoongay yeh zulm kay silsilay Ay Khuda... Karbala dey rahee hay musalsal sada Muntazir janay kab sey hain ahle wila* Jald hoo abb zahoor-e-Imam-e-Zamaan Ayy Khuda Hay yehi aarzo-e-wafa Ay Khuda Ay Khuda hai yehi aarzoo Mai Imaam-e-Zamaan (ATF) kaa sipaahi banuu! (Ameen)
Channel: People
Tags: aarzo aarzoo ali arzu ay banoon banu hay hey hezbollah imam khuda maula mola nauha noha safdar sipahi yahi zamaan zaman
Rating: 5.00 (5 ratings) Views: 5653' favoriteCount='8 Comments: 4
krishfaiz Says:
Aug 8, 2008 - mashallah .. THANX FOR UPLOADING
kartBOI Says:
Aug 14, 2008 - Salawat ala muhammad wa aleh muhammad, al ajal aye agham emam Mahdi (as)
mhspb Says:
Aug 18, 2008 - Thx been looking for this for sooo long
exsunni Says:
Jul 24, 2008 - mashallah nice noha. good upload