Added: Feb 6, 2008
From: drkchaudhry
Duration: 6:41
Hindi movie : Bhaabhi Resung by : Dr K Chaudhry Album : Mere Taraane Chal ud jaa re panchhi ke ab ye desh huaa begaanaa Chal ud jaa re panchhi ... Khatm hue din us Daalii ke jis par teraa basera tha Aaj yahaan aur kal vahaan ye jogi vaala phera tha Sadaa rahaa hai is duniya mein kiska aabo daana Chal ud jaa re panchhi ... Toone tinaka tinakaa chun kar, nagari ek basaayee Baarish mein teri bheegi paankhen, dhoop mein garami khaayee Gam naa kar jo teri mehanat tere kaam naa aayee Achhaa hai kuchh le jaane se dekar hi kuchh jaanaa Chal ud jaa re panchhi ... Bhool jaa ab vo mast havaa vo udanaa daali daali Jag ki aankh ka kaantaa ban gayee, chaal teri matavaali kaun bhalaa us baag ko poochhe, ho naa jisakaa maali teri qismat mein likha hai jeete ji mar jaana Chal ud jaa re panchhi ... Rote hain vo pankh pakheru saath tere jo khele Jinke saath lagaaye toone aramaanon ke mele Bheegi akhiyon se hi unki, aaj duaayen le le Kisako pataa ab is nagari mein kab ho tera aana Chal ud jaa re panchhi ...
Channel: Music
Tags: ab begaanaa besure bhaabhi chal chaudhry desh geet hindi huaa india jaa ki panchhi re ud ye
Rating: ( ratings) Views: 2755 Comments: 2
asifmaqsoodkhan Says:
Apr 14, 2008 - koi mane ke na mane rafi sahab bhi is scale per nain ga sake ..kia kehne ..
pradyprady Says:
Apr 2, 2008 - good job ... thats a great spirit kudos